Maqamat e Toheen or Qabrastan
Hum ji se pyar krty hain us k liye behtareen cheez ka intakhab krty hain chahy
wo zinda hoon ya mar jain. To kia hmara haq nai k jo hum se sub se ziada pyar
krta hy or Malik o Rabbul Aalameen hy , hum us k ahkam py to amal nahi karty
kam az kam us k nam ka to adab krain.
Gour kijye!
Dunya main hum apnay rab ko aisay bool jaty hain k yad karna gawara nahi kerty.
Qabrastan aik aisa muqam / jagah hy jhan jany k bad banday k liye amal krny ka koi
mouqa nahi. Lakin hum qaboor ko usi Rabbul Aalameen k Kalam Pak o Asma e Pak
se aisay sajaty hain jaisy us Kalam Pak o Asma e Pak pr us ka Haq ho gya hy qataa e
nazar is k us ki kitni behurmati ho rahi hy kutty or billiain uper se guzarty hain or in
pr char kr baith jaty hain apnay paon lagaty hain jab k musalaman k liye b hukam hy k
" Isy na chooian magar bawazu".(Al Waqi'ah - 79 )
kia kehtay hain ap.